Kb bheege the aakhiri baar baarish mein,
Lagta hai jaise bas kal parson ki baat hai.
Yaad karo pichhli baarish ko to chehra khil jayega,
Wo jo bachpan tha..... wo fir yaad aayega.
Ho jaate the geelay aur padti thi fir daant,
Behti si mastiyon ki fir hoti thi shuruwaat.
Kaale badal jaisa wo aankhon mein yaadien barsayega,
Yaad hai wo bachpan.......Haan wo fir yaad aayega.
Wo football, wo gully Cricket khelna,
wo gaadiyon k takkar se kichad ko jhelna.
Fir Mausam aya hai din aur shaam ek sa lagte jaayega,
Wo bachpan yaad hai kya...wo fir yaad aayega.
Jawani ki masti ko baandhe hain bachpan ki rassi se,
Pirontey rehna hai unhein in Yaadon ki masti se,
Har Saal mann in mahino mein khushiyaan mehkayega,
Agar Yaad hai wo bachpan to wo fir yaad aayega.
Mehsus karte hain har baar un galiyon mein khel ka shor,
Wo TV pe Malgudi wo Mogli aur kabhi wo Sherkhan ka roar.
Aaj fir wah sab jeene ko dil lalchayega,
Yaad hai na wo bachpan...... wo fir yaad aayega.
Wo baarish ki shaamon ko sair pe jaana,
Kabhi thandi hawa Saugaat mein to kabhi halki geelay mitti ki khusbu mil jaana.
Thak k ruke jo fir halwai k dukaan par to samosa,kachaudi dikh jaayega,
Fir chakhh kr garam jalebi mann 1 pe ruk na paayega.
Yaad karo ab Pichhli baarish ko to chehra khil jaayega,
Hai wo pyara bachpan yaad, Haanji..... Wo fir se yaad aayega...

simply awesome yaar.....bahut achcha likhte ho..... continue on it....u will surely achieve ur dream.... my best wishes r with u.......
ReplyDeletebahut badiya bhai....
ReplyDeletesuperb...truely awsm line
ReplyDeleteAmazing!!! Mindblowing!!!
ReplyDeletewhere hav u hidden dis for such a long time....
Continue Man!!!!!!
I am waiting for the next one.....
awesome creation sir...
ReplyDelete